nanhe-munne aansu teri umr-e-daraaz
tujh mein sari duniya ka manzar mahfuz
tu sare lamhon ka saz
tere andar qaus-e-quzah ke saton rangon ke jharne
jagmag karte suraj chand
sabz samundar
dhani mausam ki KHushbu
hath pasare kale mausam ka jadu
aur dahakte angaron ke surKH mahl
tu bazar, gharon aur chaurahon ka hakim
mamta ki raushan taswir
sare KHasta
nim-barhana KHak-alud ajsam ki ek raKHshan tahrir
tere aage
shahon aur shahanshahon ke
taj bhi aa kar jhuk jate hain
dekho to ek nanha qatra
lekin ek baDa tufan
nanhe-munne aansu
teri umr-e-daraaz
Nazm
Tujh mein sab manzar mahfuz
Sultan Subhani