ye shahr-e-sitam mar deta hai mujh ko
sar-e-rah sham-o-sahar ke kinare
nazar-o-pareshan main shorida-sar
azhdaham-e-kasalat mein gum
apne chaaron taraf ek nazar Dalta hun
to ye sochta hun
ki ye gaDiyan hain
ya gaDi-numa wahshaten rengti hain
mujhe wahshaten Das rahi hain
thakan se badan mein daraDen paDin hain
koi manzil-e-be-nishan tak nahin hai
qadam mere bojhal
mere dast-o-pa shal
nazar aise pathra gai hai ki jaise
zamin ruk gai ho
samajh aise ghabra gai hai ki jaise
KHirad baKHta ho
magar mere panje zamam-e-sitam-hae-jaan musalsal gaDe hain
mayassar nahin hai jinhen istirahat ka pal
faqat ek hi pal
mere dast-o-pa shal
ziyafat hai saDkon ki mere
ye ghuTan ki faza aur ye kala dhuan
siskiyon ki paleTon mein waqt abas hai
ziyan ham-nafas hai
qafas hai saDak hai saDak hai qafas hai
qafas mein qataron ki lambi fasilen
fasilon ke KHauf-e-junun-KHez mein ab
masafat tawalat pakaDne lagi yun
saDak ban gai ek daldal
mere dast-o-pa shal
KHamoshi mere dil ke kone mein sahmi Dari
shor ke tera ifrit se bhag kar
aa gai thi magar
gosh-e-muflis mein behudgi zahr ban kar
badan ki mulaem ragon ko sukhane lagi hai
bahut jald dil tak pahunch jae ki
KHamushi ko dabochegi kha jaegi
ai mata-e-hunar
mere dil se nikal
ya meri aag mein jal
mere dast-o-pa shal
ba-zahir jo sidhe nazar aa rahe hain
ye sab raste daeron ki tarah hain
wajud-e-malamat mein phaile hue
be-karan faslon ke nishan hain
jahan KHilqat-e-be-aman ke liye
roz-o-shab marg-e-paiham saza-war hone lage hain
Nazm
Traffic
Salman Sarwat