nikalte din ke daman mein guman hain
ki ab is daur mein be-kaifiyan hain
hamein rakkha hai waqt-e-be-hunar mein
sakun luTa gaya is mustaqar mein
utarti ja rahi hai raat ghar mein
teri yaadon mein Thahre din kahan hain
samundar ki
siyahi se pare
ek jhilmilahaT thi
gai yaadon ki aahaT thi
kisi ehsas ka unwan nahin tha
tilmilahaT thi
tamanna KHud-kalami ke qarine ki rida oDhe
labon ki kapkapahaT thi
bichhDa hua andaz hun mera kya hai
TuTa hua ek saz hun mera kya hai
wo gul hun ki jis mein nahin KHushbu koi
miTi hui aawaz hun mera kya hai
sawab ye hai
yahi ab hai
yahan manzar badalne ka hunar mil bhi gaya to kya
dil-e-sad-chaak
ab sil bhi gaya
to kya
Nazm
To kya
Sayed Ayaz Mahmood