ye chhalakta hua jam
main ise pi na sakunga saqi
aazmai hui shai
zaiqa talKH
asar phika hai
chand lamhon ka surur
jaise ek mah-jabin doshiza
muskuraati hui tezi se guzar jati hai
chand lamhon ka surur
tishnagi saghar mai se bhi kahin jati hai
toD de jam-o-subu
tishnagi nam hai jine ka
mujhe jine de
tishnagi roz-e-azal se hai rafiq-e-dil-o-jaan
tishnagi wajh-e-talab
zauq-e-talab husn-e-talab
tishnagi par hai zamane ka madar
raaten jo aankhon hi aankhon mein basar hoti hain
raaten jo pichhle pahar ashkon se munh dhoti hain
subh hoti hai to pi jata hai suraj un ko
raat Dhal jati hai shabnam ke hasin qatron mein
subh-dam phulon ke lakhon saghar
muntazir hote hain suraj ke liye
ye subuhi
ki jise pi ke damak uThta hai
ru-e-KHurshid-e-jahan-tab
shuaen jis ki
naginen ban ke har ek bund ko pi jati hain
bund aansu ki ho
ya shabnam ki
kurra-e-arz pe baqi nahin rahne pati
KHushk ho jate hain sab
gul-e-tar
dida-e-tar
koi KHurshid ki saffak tapish pi jae
raat ke chand ka aalam dekho
chand ek ghunT mein pi jata hai suraj ki tapish
shabnam-o-ashk dua karte hain
ki zamane mein sahar ho na kabhi
aur ye silsila-e-tishna-labi
ai KHuda dahr mein jari hai na jaane kab se
kaise manun
lab-e-lalin ke hazaron bose
ruh ki pyas bujha sakte hain
ishq sairab nahin ho sakta
ye chhalakta hua jam
main ise pi na sakunga saqi
Nazm
Tishnagi
Niyaz Haidar