KHwab kuchh bikhre hue se KHwab hain
kuchh adhuri KHwahishen
tishna-lab aawargi ke roz-o-shab
ek sahra chaar su bikhra hua
aur qadmon se thakan lipTi hui
ek gahri be-yaqini ke nuqush
jaane kab se do dilon par sabt hain
raat hai aur waswason ki yurishen
ye achanak
taq pe jalte diye ko kya hua
subh hone mein to KHasi der hai
aaine aur aks mein duri hai kyun
ruh pyasi hai azal se
darmiyan taKHir ka ek dasht hai
na-gahan phir na-gahan
ye wahi dastak wahi aahaT to hai
han magar in duriyon majburiyon ke darmiyan
kaun aaega chalo phir bhi chalen
shayad us ko yaad aae koi bhuli-bisri baat
wo daricha band hai to kya hua
chand hai us baam par jaga hua
Nazm
Tishna-lab aawargi
Khalid Moin