teri duniya mein jangal hain
hare baghat hain
aur dur tak phaile bayaban hain
kahin par bastiyan hain
raushni ke mantaqe hain
pahaDon par utarte baadalon mein
raqs karta hai samundar chaar-su
isi amboh ka hissa nahin hun main
kahan hun main
main tere lams se ek aag ban kar phailna
tasKHir ki surat bipharna chahta tha
aur itra hun
kisi be-mehr sannaTe ke maidan mein
hazimat ki dahakti ret par
bikhra paDa hun sham ki surat
main jina chahta tha teri duniya mein
tere honTon pe khilte nam ki surat
kahin dushnam ki surat
kahin aaram ki surat
main aansu tha
tere chehre pe aa kar phul dharta tha
tere dukh par
gira karta tha qadmon mein
ai chashm-e-tar kahan hun main
andhere se bhari aankhon mein
chalti hai hawa har-su
aur uDte ja rahe hain raste us mein
zamanon ke kinaron se
abad ke sard KHanon tak
hawa chalti hai har-su
aur us ki ham-rahi mein
do-qadam chalta nahin hun main
hujum-e-roz-o-shab mein
kis jagah sahma hua hun main
kahan hun main
teri duniya ke naqshe mein
kahan hun main
Nazm
Teri duniya ke naqshe mein
Abrar Ahmad