pare se dekho to sirf KHushbu qarib jao to ek nagar hai
tilismi rangon se bhigte ghar nisai sanson se band galiyan
KHamosh mahlon mein KHub-surat talai shaklon ki rang-raliyan
kisi dariche ki chiq ke pichhe dahakte honTon ki surKH kaliyan
pare se takti har ek nazar us nagar ki rahon se be-KHabar hai
hinai-angusht ka ishaara lajai-ankhon ki muskurahaT
kabhi yunhi rah chalte ek reshmi dupaTTe ki sarsarahaT
siyah-raaton ko haule haule qarib aati hui si aahaT
ye sari rahen hain us nagar ki jo daimi aansuon ka ghar hai
Nazm
Tilismat
Muneer Niyazi