ek dahshat-zada
nim tarik jangal mein
aql-o-KHirad ki zarurat nahin
shairi aur fiction ki
parchhaiyon ka main pichha karun
aur sapne bunun
aisi aadat nahin
nim tarik jangal ke
lambe safar pe jo nikle ho tum
to sun lo
nim tarik jangal mein chaaron taraf
abul-haul se wasta bhi paDega tumhaara
kai shakl mein
warghalaengi tum ko chuDelen
azdahon ke ilaqon se
guzroge tum
jism nila bhi hoga tumhaara
magar aankh ki putliyon mein
zindagi ka sawera munawwar rahega
ye alag baat tum
raqs-e-iblis ke daere mein rahoge
nim tarik jangal ke
sare bhayanak darindon se tanha
nihatte laDoge
tum na hargiz daroge
istifada karoge mere tajrabon se
to paoge manzil
samundar ki maujen
ulajhti hain barson bhanwar se
to pati hain manzil
nim tarik jangal
raqs-e-iblis
kali chuDelen
KHauf-za jis qadar ho
tilism-e-safar
us ko manzil ki mearaj samjho
Nazm
Tilism-e-safar
Shamim Qasmi