thoDa thoDa ye jo suhagan rang ikaTTha dil mein hua hai
jaane kitne bhed nichoDe nind ganwai pyas churai
kaun se chor hathon se luT kar aaj ye ghar aabaad kiya hai
barson se sondhi miTTi ne kaisi hikaD jot jagai
KHushiyon ki bauchhaar jo palTi gham ka mukhDa dhul sa gaya hai
sawan mas KHazane upje sar se panw talak haryai
kaun yahan meri chhanw mein mujh se munh moDe baiTha hai
rup wahi jaana pahchana ang mein desi hi garmai
aaj ki khoTi manzil aur bale kaisa kundhan ranj uga hai
aas ke sair jiwan soton se phuT bahi ghanghor badhai
sairabi ke is rele ne luk-chhup kaisi ras rachai
hathon baiTh wo barkha chehra phul surekha khil uTha hai
ghup rangon ke ghaT utarti richh ki ye adhli sarsai
dil ki ujli be sarw samani is mein kya kya ThaT chhapa hai
jite ji is chahal pahal ki tah tak kab hoti hai rasai
Nazm
Tisri nazm
Salahuddin Parvez