go raat ki jabin se siyahi na dhul saki
lekin mera charagh barabar jala kiya
jis se dilon mein ab bhi hararat ki hai numud
barson meri lahad se wo shoala uTha kiya
phika hai jis ke samne aks-e-jamal-e-yar
azm-e-jawan ko main ne wo ghaza ata kiya
mere lahu ki bund mein ghaltan thin bijliyan
KHak-e-dakan ko main ne sharar-ashna kiya
sahil ki aankh mein magar aai na kuchh kami
dariya mein lakh lakh talatum hua kiya
KHwab-e-giran se ghunchon ki aankhen na khul sakin
go shaKH-e-gul se naghma barabar uTha kiya
ye bazm aisi soi ki jagi na aaj tak
fitrat ka karwan hai ki aage baDha kiya
mara hua hun go KHalish-e-intizar ka
mushtaq aaj bhi hun payam-e-bahaar ka
Nazm
Tipu ki aawaz
Aal-e-Ahmad Suroor