ye surmai si sham
ragon mein jis ki dauDta hai KHun shafaq ke lala-zar ka
kisi hasina ki utari oDhni ki tarah
malgaji si sham
jo lamha lamha KHamushi ke band ki asir hai
ye aasman ki samt munh uTha ke kis ko yaad karti hai
ye misl-e-dagh lala-e-chaman
siyah aankhon mein jo aansuon ka nur bharti hai
to kya use bhi hai KHabar ki aansuon ki raushni
charagh-e-roz-o-shab se shoKH-tar
hai rang o nur mein
ye dhire dhire uTh ke aasman
pe nasha ki tarah se chhai jati hai
ishaara karti hai tu
tare raushni ki samt khinch ke aae jate hain
siyahiyon mein surKHiyon
siyahiyon mein raushni
ka ye hujum dekhna
to ungliyon se panw ki kamar talak
kamar se ta-ba-ru-e-ambarin
na jaane sard kyun hai sham
ye tujh se kis ne kah diya ki daman-e-chaman
mein aaftab ko
zamin ne dafn kar diya
Nazm
Tin shamon ki ek sham
Shamsur Rahman Faruqi