samundar ke boson se haari hui ret
ret par TuTi-phuTi purani siyah rang chizon ke ambar mein
ek pichka hua Tin ka zard Dibba
syahi ke barham samundar ne jis ko uchhaala
syahi ke be-nam sahil ne jis ko sambhaala
andhere mein bikhre hue murda lamhon ke ek Dher mein
pa-shikasta si ek saat-e-nim-jaan
kale qarnon ke safar-e-musalsal ki ek dastan
kale qarnon ki wo dastan
tirgi ki chaTanon se Takrai
Takra ke raushan hui
ghup andhere mein ubhrin lakiren
lakiron se banti gain suraten
peD baadal makan ek raushan nadi
aur raushan nadi ke kinare chamakti hui ghas par
dudhiya un ki dhajjiyan
raushni ka ubharta hua ek jahan
tirgi ab kahan hai
taDapti hui ret par har taraf
shoKH kirnon ka ek jal sa tan gaya hai
chamakta hua Tin ka zard Dibba
shuaon ka lawa ugalne laga hai
ubalte hue raushni ke samundar mein Dhal kar
zamin se falak tak uchhalne laga hai
Nazm
Tin ka Dibba
Wazir Agha