zalim
jashn hai matam-e-ummid ka aao logo
marg-e-amboh ka tyauhaar manao logo
adam-abaad ko aabaad kiya hai main ne
tum ko din raat se aazad kiya hai main ne
jalwa-e-subh se kya mangte ho
bistar-e-KHwab se kya chahte ho
sari aankhon ko tah-e-tegh kiya hai main ne
sare KHwabon ka gala ghunT diya hai main ne
ab na lahkegi kisi shaKH pe phulon ki hina
fasl-e-gul aaegi namrud ke angar liye
ab na barsat mein barsegi guhar ki barkha
abr aaega KHas-o-KHar ke ambar liye
mera maslak bhi naya rah-e-tariqat bhi nai
mere qanun bhi nae meri shariat bhi nai
ab faqihan-e-haram dast-e-sanam chumenge
sarw-qad miTTi ke baunon ke qadam chumenge
farsh par aaj dar-e-sidq-o-safa band hua
arsh par aaj har ek bab-e-dua band hua
mazlum
raat chhai to har ek dard ke dhaare chhuTe
subh phuTi to har ek zaKHm ke Tanke TuTe
dopahar aai to har rag ne lahu barsaya
din Dhala KHauf ka ifrit muqabil aaya
ya KHuda ye meri gardan-e-shab-o-roz-o-sahar
ye meri umr ka be-manzil o aaram safar
kya yahi kuchh meri qismat mein likha hai tu ne
har masarrat se mujhe aaq kiya hai tu ne
wo ye kahte hain tu KHush-nud har ek zulm se hai
wo ye kahte hain har ek zulm tere hukm se hai
gar ye sach hai to tere adl se inkar karun?
un ki manun ki teri zat ka iqrar karun?
nida-e-ghaib
har ek ulil-amr ko sada do
ki apni fard-e-amal sambhaale
uThega jab jam-e-sarfaroshan
paDenge dar-o-rasan ke lale
koi na hoga ki jo bacha le
jaza saza sab yahin pe hogi
yahin azab o sawab hoga
yahin se uTThega shor-e-mahshar
yahin pe roz-e-hisab hoga
Nazm
Tin aawazen
Faiz Ahmad Faiz