tifli mein aarzu thi kisi dil mein hum bhi hon
ek roz soz-o-saz ki mahfil mein hum bhi hon
dil ho asir gesu-e-ambar-sarisht mein
uljhe inhin hasin salasil mein hum bhi hon
chheDa hai saz hazrat-e-'sadi' ne jis jagah
us bostan ke shoKH anadil mein hum bhi hon
gaen tarane dosh-e-surayya pe rakh ke sar
taron se chheD ho mah-e-kaamil mein hum bhi hon
aazad ho ke kashmakash-e-ilm se kabhi
aashuftagan-e-ishq ki manzil mein hum bhi hon
diwana-war hum bhi phiren koh-o-dasht mein
dil-dadgan-e-shola-e-mahmil mein hum bhi hon
dil ko ho shahzadi-e-maqsad ki dhun lagi
hairan suragh-e-jada-e-manzil mein hum bhi hon
sahra ho, KHar-zar ho, wadi ho, aag ho
ek din inhin muhib manazil mein hum bhi hun
dariya-e-hashr-KHez ki maujon ko chir kar
kashti samet daman-e-sahil mein hum bhi hon
ek lashkar-e-azim ho masruf kar-zar
lashkar ke pesh pesh muqabil mein hum bhi hon
chamke hamare hath mein bhi tegh-e-abdar
hangam-e-jang nargha-e-baatil mein hum bhi hon
qadmon pe jin ke taj hain iqlim-e-dahr ke
un chand kushtagan-e-gham-e-dil mein hum bhi hon
Nazm
Tifli ke KHwab
Asrar-ul-Haq Majaz