اردو हिंदी
Tiflan ki to kuchh taqsir na thi | Shaahi Shayari
tiflan ki to kuchh taqsir na thi

Nazm

Tiflan ki to kuchh taqsir na thi

Fahmida Riaz

;

ai dost purane pahchane
hum kitni muddat baad mile

aur kitni sadiyon baad mili
ye ek nigah-e-mehr-o-saKHa

jo apni saKHa se KHud pur-nam
baiTho to zara

batlao to kya
ye sach hai mere taaqub mein

phirta hai hujum-e-sang-zanan?
kya nil bahut hain chehre par?

kya kasa-e-sar hai KHun se tar?
paiwand-e-qaba dushnam bahut

paiwast-e-jigar ilzam bahut
ye nazr-e-karam kyun hai pur-nam?

jab nikle ku-e-malamat mein
ek ghaugha to hum ne bhi suna

tiflan ki to kuchh taqsir na thi
hum aap hi the yun KHud-rafta

madhoshi ne mohlat hi na di
hum muD ke nazara kar lete

bachne ki to surat KHair na thi
darman ka hi chaara kar lete

pal bhar bhi hamare kar-e-junun
ghaflat jo gawara kar lete