ek mujawwaf adse se
main duniya ko dekh raha tha
jangal maidan ret ke Tile
saql-e-zamin se apna rishta toD rahe the
dur kinare dariya ke
sath purana chhoD rahe the
bahti hawaon ke daman ko
girte parbat tham rahe the
aur un sab ke pichhe
meri aankhen phail gai thin
meri nak bahut lambi thi
wo boli pahchano
aahista se pichhe aa kar kis ne aankhen munden
adsa phenk ke main ne us ke dast-e-hinai tham liye
aur us ki aaghosh mein chhup kar
jaane kab tak roya
Nazm
Tifl-e-arzu
Mushaf Iqbal Tausifi