zindagi ne mujhe lakir par chalna sikhaya
main ne munharif hona sikh liya
us ki andam-e-nahani
sanp janne mein masruf rahi
aur wo unhen marne mein
wo bhi kya karti
raat bhar meri jagah izhdiham soya raha
apni bekari se tang aa kar
main apna uzw nila karne chala aaya
aisa karna jurm hai
magar kya kya jae
ek bhuk miTane ke liye dusri KHaridni paDti hai
adalat ne meri aazadi ke ewaz
mere KHusiye mang liye
logon ne mere mada-e-taulid se
diwaron par phul bana liye
aur ibaadat ke liye mera uzw
inhiraf ne mujhe kabhi qatar nahin banne diya
main ne hamesha chiyunTiyon ko gumrah kiya
ek din tang aa kar
zindagi ne mujhe thuk diya
Nazm
Thuka hua aadmi
Zahid Imroz