ghuTnon pe rakh kar hath uThi
thaki aawaz mein boli
bahut lamba safar hai
umr ke munh zor dariya ka
ukhaDte pattharon
chikni phisalti saaton ka
ye safar
mushkil bahut hai
thakan
bojhal manon bojhal badan apna
uTha kar chal paDi
chalti rahi
phir ek din
bhaari papoTon ko uTha kar
us ne dekha
raste ke beach
ek bargad purana
samadhi oDh kar baiTha hua tha
thakan
kubDe asa ko Tekti
bargad ke sae mein chali aai
man ThiTki ThiThak kar ruk gai
boli
chalo hum bhi yahan ruk kar
samadhi oDh lete hain
chalo hum bhi utarte hain
KHud apni tah ke andar
aur KHud ko DhunDte hain
abad tak
nind ke dariya mein hum bhi unghte hain
thakan
ghuTnon pe rakh kar hath
uThi
thaki aawaz mein boli
bahut lamba safar hai
Nazm
Thakan
Wazir Agha