kabhi munh se aawaz hathon se qismat aur aankhon se pahli masarrat ka pani gire
to use mat uThana
kabhi raat ki shaal se chand salon ki muTThi se KHushbu zaminon ki jholi se KHurak
aur dil se qurbat ki KHwahish gire
to use uThana
kabhi sham ke ghonsle se parinda fajr se ibaadat ka chogha pahaDon se
sarma ka pahla meinh gire
to use mat uThana
kabhi aasmanon se harf-e-munajat shahin ki aankhon se aansu hawaon
se lambe safar ki hikayat
ghulamon ke daman se aazad subhon ki saat gire
to use mat uThana
kabhi panw se hausla aam ke peD se baur bachchon ki muTThi se lori aur faslon pe
phaili hui dhup kaT kar gire
to use mat uThana
nigah apne dushman pe rakhna
safar ko amanat samajhna
aur aasab jhukne na dena
ki sab chizen apne se behtar ko apni jagah de gai hain
Nazm
Thahre hue mausam ki ek nazm
Asghar Nadeem Sayed