aandhiyan hoti hain kya, tufan kahte hain kise!
pahle to miTTi ki ek hasti bana, phir mujh se puchha
barishen hoti hain kya, sailab kahte hain kise!
pahle to kaghaz ki ek kashti bana, phir mujh se puchha
puchhta kya hai bata! ai KHwab, mere KHayal se
TuT jati hain meri ninden, tere singar se
dekh kar ye jazba be-iKHtiyari, mehrban
sar se pa tak aatish-e-KHamosh ho jata hun main
main nahin rahta hun main
aaghosh ho jata hun main
dekhta hun jhank kar dil mein, jahan parde mein gum
KHubsurat si teri taswir ka namus tha
ab wahan par wo nahin, namus bhi koi nahin
han magar tu hai wahan sar-ta-qadam
fanus mein
pairahan ek ek utare ja rahi hai
kya kahun!
kaise kahun!
har raaz uTh jaane ke baad
main to mushkil ho gaya aasan hai tu
aaine ke samne ki baat kya
han pas-e-aina bhi uryan hai tu
jin mein the tere zard aur zamurrad ke charagh
jin mein the almas tere aur almason ke dagh
jin mein tha ek hauz tera aur us mein phul bagh
jo utare hain badan se be-badan, kya chum lun!
naqsh-e-fariyaadi se tere pairahan, kya chum lun!
Nazm
Tha KHwab mein KHayal ko tujhse muamla
Salahuddin Parvez