tesha-e-karb kandhon pe rakkhe hue
kohkan be-aman phir rahe hain yahan
KHwahishon ke diye
sab dhuan ho gae
wo jo mazi ke chamkile auraq the
un pe likkhe hue git gum ho gae
KHwab ki bastiyon mein koi sar-phira
apni palkon se taqdir gaDhta raha
aur tarikiyan munh chhupae hue
haal-e-rafta pe aansu bahati rahin
pastiyon ke safar se palaTte hue
dhul uDate hue rath pareshan hain
yun bulandi se KHaif bhala kyun hue
ye musafir sabhi
oxigen se dam un ka ghuTta hai kyun
Nazm
Tesha-e-karb
Arshad Meraj