raat phir tere KHayalon ne jagaya mujh ko
TimTimati hui yaadon ka zara sa shoala
aaj bhaDka to phir ek shoala-e-jawwala bana
aql ne tujh ko bhulane ke kiye lakh jatan
le gae mujh ko kabhi misr ke bazaron mein
kabhi italy kabhi espen ke gulzaron mein
belgium ke, kabhi holland ke mai-KHanon mein
kabhi paris, kabhi london ke sanam-KHanon mein
aur main aql ki baaton mein kuchh aisa aaya
main ye samjha ki tujhe bhul chuka hun shayad
dil ne to mujh se kai bar kaha wahm hai ye
is tarah tujh ko bhulana koi aasan nahin
main magar wahm mein kuchh aisa giraftar raha
main ye samjha ki tujhe bhul chuka hun shayad
kal magar phir teri aawaz ne taDpa hi diya
aalam-e-KHwab se goya mujhe chaunka hi diya
aur phir tera har ek naqsh mere samne tha
teri zulfen, teri zulfon ki ghaTaon ka saman
teri chitwan, teri chitwan wahi baatin ka suragh
tere aariz wahi KHush-rang mahakte hue phul
teri aankhen wo sharabon ke chhalakte hue jam
tere lab jaise sajae hue do barg-e-gulab
teri har baat ka andaz teri chaal ka husn
tere aane ka nazara tere jaane ka saman
tera har naqsh to kya tu hi mere samne thi
dil ne jo baat kai bar kahi thi mujh se
shab ke anwar mein bhi din ke andheron mein bhi
mere ehsas mein ab gunj rahi thi paiham
is tarah tujh ko bhulana koi aasan nahin
dil haqiqat hai koi KHwab-e-pareshan to nahin
yaad manind-e-KHirad maslahat-andesh nahin
Dubti ye nahin holland ke mai-KHanon mein
gum nahin hoti ye paris ke sanam-KHanon mein
ye bhaTakti nahin espen ke gulzaron mein
bhulti rah nahin misr ke bazaron mein
yaad manind-e-KHirad maslahat-andesh nahin
aql ayyar hai sau bhes bana leti hai
yaad ka aaj bhi andaz wahi hai ki jo tha
aaj bhi us ka hai aahang wahi rang wahi
bhes hai us ka wahi taur wahi Dhang wahi
phir isi yaad ne kal raat jagaya mujh ko
aur phir tera har ek naqsh mere samne tha
Nazm
Teri yaad
Jagan Nath Azad