rah mein chalte hue bhiD se uktae hue
teri aawaz suni main ne kai sal ke baad
soch kar zehn pareshan raha der talak
shahr ke shor-e-KHurafat ke hangamon mein
teri aawaz jo aai to kahan se aai
phir kisi wahm ke narghe mein to main aa na gaya
teri aawaz ka sargam kahin dhoka to nahin
der tak zehn sawalat mein uljha hi raha
koi ummid na jis baat ki thi kaise hui
kaise pathrai hui aankh mein aansu aae
kaise phir bhula hua qissa tujhe yaad aaya
rah mein chalte hue bhiD se uktae hue
teri aawaz suni main ne kai sal ke baad
teri aawaz ka dhoka hai agar wahm mera
mujh ko rahna hai isi wahm ki sarshaari mein
teri aawaz ke dhoke se ye mahsus hua
koi KHwahish ho tamanna ho bahakti hai zarur
ab bhi sine mein koi chiz dhaDakti hai zarur
Nazm
Teri aawaz
Rashid Anwar Rashid