sochta hun ki tere pyar ke badle mujh ko
kya mila dard-o-gham-o-ranj-o-musibat ke siwa
ek taDap ek kasak ek KHalish hai paiham
ek lamha bhi sukun ka na mere pas raha
aur tu ajnabi aaghosh ki zinat ban kar
ek chamakti hui firdaus mein ja baiThi hai
raqs karte hain nae KHwab nigahon mein teri
dil se mazi ke sabhi naqsh miTa baiThi hai
meri mahbub mere dil ke siyah-KHane mein
jhilmilati hain teri yaad ki shamen ab bhi
aahaTen teri tasawwur mein basi hain ab tak
tere jalwon se saji hain meri nazren ab bhi
meri taKHil ke KHwabida darichon se abhi
teri pael ke chhanakne ki sada aati hai
mere ehsas pe lahraati hain zulfen teri
jab kabhi jhum ke sawan ki ghaTa aati hai
main ne har chand tujhe bhulna chaha lekin
phir bhi aankhon mein tere KHwab machal jate hain
ab talak bhi meri fikron ke tarashida KHutut
jaane kyun tere KHad-o-KHal mein Dhal jate hain
ab ye socha hai ki phir dil mein samo lunga tujhe
jazb kar lunga nigahon mein tere naqsh-e-hasin
kyunki shayad meri taKHliq mere fan ka suhag
tujh se hai teri qasam tere siwa kuchh bhi nahin

Nazm
Tere siwa
Shahid Akhtar