pyar ki aaKHiri punji bhi luTa aaya hun
apni hasti ko bhi lagta hai miTa aaya hun
umr-bhar ki jo kamai thi ganwa aaya hun
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
tu ne likhkha tha jala dun main teri tahriren
tu ne chaha tha jala dun main teri taswiren
soch lin main ne magar aur hi kuchh tadbiren
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
tere KHushbu mein base KHat main jalata kaise
pyar mein Dube hue KHat main jalata kaise
tere hathon ke likhe KHat main jalata kaise
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
jin ko duniya ki nigahon se chhupae rakkha
jin ko ek umr kaleje se lagae rakkha
din jin ko jinhen iman banae rakkha
jin ka har lafz mujhe yaad hai pani ki tarah
yaad the mujh ko jo paigham-e-zabani ki tarah
mujh ko pyare the jo anmol nishani ki tarah
tu ne duniya ki nigahon se jo bach kar likkhe
sal-ha-sal mere nam barabar likkhe
kabhi din mein to kabhi raat ko uTh kar likkhe
tere rumal tere KHat tere chhalle bhi gae
teri taswiren tere shoKH lifafe bhi gae
ek yug KHatm hua yug ke fasane bhi gae
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
kitna bechain unhen lene ko ganga-jal tha
jo bhi dhaara tha unhin ke liye wo bekal tha
pyar apna bhi to ganga ki tarah nirmal tha
tere KHat aaj mein ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
Nazm
Tere KHushbu mein base KHat
Rajendra Nath Rahbar