meri nigah ko ab bhi teri zarurat hai
dil-e-tabah ko ab bhi teri zarurat hai
KHarosh-e-nala taDapta hai teri furqat mein
sukut-e-ah ko ab bhi teri zarurat hai
ye subh-o-sham teri justuju mein phirte hain
ki mehr-o-mah ko ab bhi teri zarurat hai
bahaar-e-zulf pareshan liye hai gulshan mein
gul-o-giyah ko ab bhi teri zarurat hai
zamana DhunD raha hai koi naya tufan
sukun-e-rah ko ab bhi teri zarurat hai
wo walwale wo umangen wo justuju na rahi
teri sipah ko ab bhi teri zarurat hai
KHirad KHamosh junun be-KHarosh hai ab tak
dil-o-nigah ko ab bhi teri zarurat hai
bayan ho gham ka fasana dil-e-tapan se kahan
ye bar uTThega meri jaan-e-na-tawan se kahan
mila na phir kahin lutf-e-kalam tere baad
hadis-e-shauq rahi na-tamam tere baad
jo tere dast-e-hawadis shikan mein dekhi thi
wo tegh phir na hui be-niyam tere baad
bujhi bujhi si tabiat hai baada-KHwaron ki
udas udas hain mina-o-jam tere baad
bana hai harf-e-shikayat sukut-e-lala-o-gul
badal gaya hai chaman ka nizam tere baad
ada-e-husn ka lutf-e-KHiram be-mani
surud-e-shauq ki lazzat haram tere baad
taras gai hai samaat teri sadaon ko
suna na phir kahin tera payam tere baad
wo inqalab ki ru phir palaT gai afsos
buland baam hain phir zer-e-dam tere baad
misal-e-najm-e-sahar jagmaga ke Dub gaya
hamein safina kinare laga ke Dub gaya
Nazm
Tere baad
Saifuddin Saif