اردو हिंदी
Tera par utarna kaisa | Shaahi Shayari
tera par utarna kaisa

Nazm

Tera par utarna kaisa

Akhtar Husain Jafri

;

bahte din ka gadla pani
kuchh aankhon mein

kuchh kanon mein aur shikam mein na-asuda dard ki kai
is dariya mein lamha lamha Dubne wale

tera jina marna kaisa?
tera par utarna kaisa?

kaun safina sochti umron ke sahil se
toda toda girti shamon ke payab se teri jaanib aaega

Dubne wale!
tera par utarna kaisa?