اردو हिंदी
Tera aur mera sath | Shaahi Shayari
tera aur mera sath

Nazm

Tera aur mera sath

Zeef Zia

;

tera aur mera sath aalam-e-barzaKH se hai
aalam-e-barzaKH yani jahan arwah ek sath thin

main aur tum yani hum
wahan bhi ek sath the

phir mujhe aur tumhein ek sath
shayad tah-dar-tah ek sath sula diya gaya

yahan hamare liye man ki kokh ko garm kiya gaya
wahan main aur yahan tum ne ek hayule ki shakl li

farz karo chaalis din ka ek hafta ho aur tin hafton mein
hamara yani tumhaara aur mera nur ek nur ne us hayule mein phunk diya

tum puchhti ho kab se mohabbat hai
tum sochti ho kab se aashna hain

jaanan
hum duniya ki daryaft se pahle aashna hain

hamari arwah ne daryaft se pahle mohabbat ki thi
jism to ab mayassar hain

magar
hum kaenat ke wajud se pahle mil chuke hain