اردو हिंदी
Tel ke saudagar | Shaahi Shayari
tel ke saudagar

Nazm

Tel ke saudagar

Noon Meem Rashid

;

buKHara samarqand ek KHal-e-hindu ke badle!
baja hai buKHara samarqand baqi kahan hain?

buKHara samarqand nindon mein madhosh
ek nil-gun KHamushi ke hijabon mein mastur

aur rahrawon ke liye un ke dar band
soi hui mah-jabinon ki palkon ke manind

rusi hama-ust ke taziyanon se mazur
do mah-jabinen!

buKHara samarqand ko bhul jao
ab apne daraKHshanda shahron ki

tahran o mashhad ke saqf o dar-o-baam ki fikr kar lo
tum apne nae daur-e-hosh-o-amal ke dil-awez chashmon ko

apni nai aarzuon ke in KHub-surat kinayon ko
mahfuz kar lo!

in unche daraKHshanda shahron ki
kotah fasilon ko mazbut kar lo

har ek burj-o-baro par apne nigahban chaDha do
gharon mein hawa ke siwa

sab sadaon ki shamen bujha do!
ki bahar fasilon ke niche

kai din se rahzan hain KHema-fagan
tel ke buDhe sauda-garon ke libaade pahan kar

wo kal raat ya aaj ki raat ki tirgi mein
chale aaenge ban ke mehman

tumhaare gharon mein
wo dawat ki shab jam-o-mina luDhaenge

nachenge gaenge
be-saKHta qahqahon hamhamon se

wo garmaengee KHun-e-mahfil!
magar pau phaTegi

to palkon se khodoge KHud apne murdon ki qabren
bisat-e-ziyafat ki KHakistar-e-soKHta ke kinare

bahaoge aansu!
bahae hain hum ne bhi aansu!

go ab KHal-e-hindu ki arzish nahin hai
ezar-e-jahan par wo rista hua gahra nasur

afrang ki aaz-e-KHun-KHwar se ban chuka hai
bahae hain hum nai bhi aansu

hamari nigahon ne dekhe hain
sayyal sayon ke manind ghulte hue shahr

girte hue baam-o-dar
aur minar o gumbad

magar waqt minar hai
aur dushman ab us ki KHamida kamar se guzarta hua

us ke nichle ufaq par luDhakta chala ja raha hai
hamare barahna o kahida jismon ne

wo qaid-o-band aur wo taziyane sahe hain
ki un se hamara sitamgar

KHud apne alaw mein jalne laga hai!
mere hath mein hath de do!

mere hath mein hath de do!
ki dekhi hain mein ne

himala o alwand ki choTiyon par shuaen
unhin se wo KHurshid phuTega aaKHir

buKHara samarqand bhi sal-ha-sal se
jis ki hasrat ke daryuza-gar hain!