اردو हिंदी
Tazlil | Shaahi Shayari
tazlil

Nazm

Tazlil

Asif Raza

;

tum ne suna
mausam ne sabze ki zabani kya kaha?

ye nahin un ki jagah
ye bhi kaha ki

mutribon ka taifa
un ke liye hai sirf jin ka samea

mo'taqid hai subh-e-nau ke tarbiya ilhan ka
aur taeron ne yak zaban

is baat ki tasdiq ki
gardan hilai saq par

har phul ne
aur piTh de kar apni KHushbu rok li

munh moD kar shaKHon ne roki hai hawa
katra ke guzri hai rawish dekho sahar

jo thi hamari dost
ab hum ko nahin pahchanti

kya kar rahe hain hum yahan?
uTTho chalo!

kuchh hai hamara bhi waqar
dekho! ishaare se bulata hai hamein wo reg-zar