اردو हिंदी
Tazad | Shaahi Shayari
tazad

Nazm

Tazad

Himayat Ali Shayar

;

main sochta hun
main ek insan hun ek musht-e-ghubar hun main

abhi main ye soch hi raha tha
ki ek aawaz sarsarai faza ki KHamosh wusaton mein

palaT ke dekha
koi hawai jahaz parwaz kar raha tha

jo lamha lamha bulandiyon ki taraf rawan tha
main us ko takta raha musalsal

na jaane kab tak
na jaane is lamha-e-gurezan ke tang daman mein kitni sadiyan simaT gai thin

na jaane meri nazar mein kitne nae ufuq jagmagae
kitne hi chand suraj ubhar ke Dube

na jaane wo kaun sa jahan tha
zamin ki panw tale koi farsh-e-zar ho jaise

falak ki sar par rida-e-ab-e-guhar ho jaise
faza munawwar

hawa moattar
nafas nafas mein basi hui nikhat-e-gul-e-tar

KHalaon mein mushtari o zohra ka raqs jari
tamam aalam pe halka halka surur tari

na jaane main kis KHayal mein gum
kis abr-pare pe uD raha tha

ghurur se sar buland kar ke har ek sitare ko dekhta tha
ki ek dil-doz chiKH gunji faza ki KHamosh wusaton mein

main chaunk uTTha
palaT ke dekha

gali se ek haDDiyon ka Dhancha guzar raha tha
jo chiKH kar ek ek se kahta tha ek roTi

KHuda tumhaara bhala karega