zamin ghumti hai roz apne mehwar par
falak khaDa hai usi tarah sar uThae hue
dinon ke pichhe lagi hain usi tarah raaten
safar hai jari usi tarah ab bhi lamhon ka
hawa ke dosh pe KHushbu ke qafile ab bhi
ruten badalne ka paigham le ke aate hain
hamare bich magar fasle jo qaem hain
kisi tarah nahin kam hote baDhte jate hain!
Nazm
Tazad
Aftab Shamsi