baaton ka martaban achanak chhuT gaya hai hathon se
baaton ke nazuk jism ab lafzon ki kirchon se
zaKHmi hai aur lahuluhan be-bas se hain
KHayal aur mani bhi uchhal kar dur paDe hain kone mein
rote se bilakhte se
sare ehsas paDe hai farsh pe mar kar
bhaar ponchh kar sameT lun phir bhi chakhte to na miTenge
Nazm
Tawil KHamushi
Varsha Gorchhia