un ke lahje mein wo kuchh loch wo jhankar wo ras
ek be-qasd tarannum ke siwa kuchh bhi na tha
kanpte honTon mein uljhe hue mubham fiqre
wo bhi andaz-e-takallum ke siwa kuchh bhi na tha
saikDon Tisen nazar aati thin jis mein mujh ko
wo bhi ek sada tabassum ke siwa kuchh bhi na tha
sard o tabinda si peshani wo machle hue ashk
din mein nur-e-mah-o-anjum ke siwa kuchh bhi na tha
tund aahon ke dabane mein wo sine ka ubhaar
ek yunhi se talatum ke siwa kuchh bhi na tha
main ne jo dekha tha, jo socha tha, jo samjha tha
hae 'jazbi' wo tawahhum ke siwa kuchh bhi na tha
Nazm
Tawahhum
Moin Ahsan Jazbi