barson baiTh ke sochen phir bhi
hath ke aage paDa niwala
aap halq ke par na jae
ye adna naKHun tak shayad baDhte baDhte
jal bichhaen
gyan nagar behad dilkash hai
lekin us ke raste mein jo KHar paDe hain
kaun haTae
sadiyon ki sochon ka muraqqa
TuTe hue us but ko dekho
hare-bhare KHud-raw sabze ne gher rakha hai
farq kushada se chiDiyon ki yaad-dahani
chah-e-zaqan pe kai jami hai
ho sakta hai shayad us ko gyan mila ho
ho sakta hai
Nazm
Tawazun
Abrarul Hasan