aaza ka tanasub
ragon mein dauDte zinda jawan sarshaar KHun ki gungunahaT
hamein dete hain dawat ishq ki
lekin
hamari chashm-e-ahan-posh pairahan-shanasa hai
libason ki mohabbat
waz-e-pairahan ko sab kuchh man kar
na-bina aankhen ishq karti hain
hamari zindagi tahzib-e-pairahan hai
zahir ki parastish hai
hamare sare aadab-e-nazara farz kar lete hain
insan be-badan hai
badan dar-asl insan hai tamaddun hai mohabbat hai
badan hi ruh hai nur-e-hararat zindagi hai
badan hi ka karishma zehn ki taKHliq tasKHir-e-fulan hai
hamari chashm-e-ahan-posh pairahan shanasa hai
badan ki tab la sakti nahin
tahzib-e-pairahan na zinda hai na zehn-o-ruh rakhti hai
hamare buDhe kohna aur farsuda libason se ibarat hain
hamare naujawan maghrib ke taza faishanon ke chalte phirte ishtihaari hain
badan madum hai
aur be-badan ruhen dhuan hain
be-badan azhan aaseb-e-nazara hain
Nazm
Tawana KHubsurat jism
Waheed Akhtar