kab se ye bar-e-garan
apne kandhon pe uThae hue tanha tanha
gasht karta hun main hairan hairan
main ne har-chand chhuDana chaha
aur mazbut hui us ki gulu-gir giraft
aur sangin hua jism-e-jawan par pahra
samne fasla-e-lamatanahi
dil mein saikaDon man chale armanon ke rangin charagh
jin ki KHushbu se moattar hai dimagh
jin se mumkin hai ki mil jae mujhe
gum-shuda jannat ka suragh
kab se kandhon pe uThae hue hairan hairan
waqt ka bar-e-garan
sochta hun ki agar
is ke pairon ke shikanje se nikal paun main
be-karan arsa-e-hasti mein bikhar jaun main
Nazm
Tasma-e-pa
Aziz Tamannai