tasKHir-e-fitrat ke baad
hawa ai hawa
main tera ek ang ek lahra tha
sadiyon tere sath dasht daman-e-koh-e-sahra mein
aazad-o-sarshaar phirta raha hun
samundar ki chhati pe sadiyon tere sath
be-fikr-o-be-dast chalta raha hun
anokhi zaminon tilismi jaziron ko daryaft karta raha hun
mujhe tu ne fitrat ke baad
sanam-KHana-e-kainat-e-azari ke tilismat kise aa ke bahar nikala
mere KHauf se kanpte dil ko
wahmon mein hue sar ko
sajde se tu ne uTha kar
unhen aagahi-o-amal ki naya nur baKHsha
mujhe KHud se aur KHud se bahar mazahir se
sadiyon ham-ahang hona sikhaya
samundar ke dukh ko samajhne ki KHatir
ubalte hue garm pur-shor tufan ko napa hai main ne
bayaban ki tanhai ko dur karne ki KHatir
main tapti hui ret par sadiyon paidal chala hun
badalte hue mausamon ka har ek raaz lene ko main ne
bahaar-o-KHizan mein daraKHton ke sayon mein Thahra to bachchon ki sansen gini hain
zamane ka har sard-o-garm aazmane ko sadiyon hi tak main
pahaDon ki barfili choTi se
aur koh-e-atish-fashan ke dahane se guzar kiya hun
aur us par abhi jab na-tamami ka ehsas Dasta raha
apni takmil karne ki KHatir
bulandi ki pur-nur chaukhaT ko
pasti ke tarik ghaaron ko chuma hai main ne
gharaz zindagi ke har ek dard se KHud ko angez kar ke
hawa ai hawa
main ki tujh se bichhaDne se pahle
teri tarah aazad-o-sarshaar tha
ab ye kis tarah ki munhamik TuTti zindagi hai
ki tu shahr shahr aadmi ki tag-o-taz ki tab lane ke qabil nahin
aur main shahr shahr ek patthar sa raston mein behis paDa hun
teri sust-paimai aur apni bechaargi ka gila kar raha hun
Nazm
TasKHir-e-fitrat ke baad
Shahab Jafri