hawa ai hawa
main tera ek ek ang lahra tha
sadiyon tere sath dasht-o-daman koh-o-sahra mein
aazad-o-sarshaar phirta raha hun
samundar ki chhati pe sadiyon tere sath
bad-mast o be-fikr chalta raha hun
anokhi zaminon tilismi jaziron ko daryaft karta raha hun
mujhe tu ne fitrat ke mabad
sanam-KHana-e-kaenat, aazari ke tilismat se aa ke bahar nikala
mere KHauf se kanpte dil ko
wahmon se labrez aundhe hue kasa-e-sar ko
sajde se tu ne uTha kar
unhen aagahi-o-amal ka naya nur baKHsha
mujhe KHud se aur KHud ke bahar mazahir se
sadiyon ham-ahang o ham-rutba hona sikhaya
samundar ke dukh ko samajhne ki KHatir
ubalte hue garm pur-shor tufan ko chullu se napa hai main ne
bayaban ki tanhai ko dur karne ki KHatir
main tapti hui ret par sadiyon piyasa hi paidal chala hun
badalte hoe mausamon ka fusun Tohne ko shab-o-roz main ne
bahaar-o-KHizan mein daraKHton ke sayon se patton ki sansen gini hain
zamane ka har sard-o-garm aazmane ko sadiyon hi tak main
pahaDon ki barfili choTi se
jwala-mukhi ke dahane se guzra kiya hun
aur is par bhi jab na-tamami ka ehsas Dasta raha
apni takmil karne ki KHatir
sitaron ki pur-nur chaukhaT ko chuma hai
dharti ke tarik ghaaron mein KHud ko pukara hai main ne
gharaz zindagi ke har ek dard se KHud ko angez-o-dam-saz kar ke
hawa, ai hawa
main ki tujh se bichhaDne se pahle
teri tarah aazad o sarshaar tha
ab ye kas tarah ki munhamik, TuTti zindagi hai?
ki tu shahr shahr aagahi ki tag-o-taz sahne ke qabil nahin
aur main shahr shahr ek pathar sa aan path pe behis paDa
ab teri sust-paimai aur apni bechaargi ka
ye kis se gila kar raha hun
Nazm
TasKHir-e-fitrat ke baad
Shahab Jafri