اردو हिंदी
Tashkil | Shaahi Shayari
tashkil

Nazm

Tashkil

Khwaja Rabbani

;

main ThanDi barf ke zarron se
phir se ban raha hun

tumhaare qurb ki hiddat se
pani ho gaya tha

magar ab phir meri tashkil hone ja rahi hai
main phir se ban raha hun

tumhaare pyar ki hiddat yaqinan ruh hai meri
magar ye mere ek ek uzw ko

pighla ke aab-o-ab kar degi
ye behtar hai ki tum se fasla ho

na koi rabta ho
ye hiddat phir se mera jism mujh se chhin legi

mere aaza ko phir ek shakl milne do
mujhe hiddat se apne lams se

thoDi dur rahne do