us kamre ki tartib se
main manus tha
us ki har shai se
patthar se diwaron se
chhoTi chhoTi chizon aur kitabon se
mutarannim aawazon se
shor machate hanste-gate
gahe-gahe lamha-bhar ko
chup ho jate
apne apne aasman se
tanhai mein
sukh aur dukh ki baaten karte logon se
nannhi-munni sargoshi mein jadu bharti
guDiya se
rang luTate us ke naT-khaT guDDe se
tum to mere apne the
tum ne ye kya kar Dala
tum ne apne hath se
meri barson ki manus lakiren
darham-barham kar Dalen
aawazon ki ragniyon ki taswiron ki
raushan aankhen
tum to mere apne the
tum ne ye kya kar Dala
Nazm
Tashaddud
Balraj Komal