ye kis tarah yaad aa rahi ho ye KHwab kaisa dikha rahi ho
ki jaise sach-much nigah ke samne khaDi muskura rahi ho
ye jism-e-nazuk, ye narm bahen, hasin gardan, siDaul bazu
shagufta chehra, saloni rangat, ghanera juDa, siyah gesu
nashili aankhen, rasili chitwan, daraaz palken, mahin abru
tamam shoKHi, tamam bijli, tamam masti, tamam jadu
hazaron jadu jaga rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
gulabi lab, muskuraate aariz, jabin kushada, buland qamat
nigah mein bijliyon ki jhil-mil, adaon mein shabnami latafat
dhaDakta sina, mahakti sansen, nawa mein ras, ankhDiyon mein amrit
hama halawat, hama malahat, hama tarannum, hama nazakat
lachak lachak gunguna rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
to kya mujhe tum jala hi logi gale se apne laga hi logi
jo phul juDe se gir paDa hai taDap ke us ko uTha hi logi
bhaDakte shoalon, kaDakti bijli se mera KHirman bacha hi logi
ghaneri zulfon ki chhanw mein muskura ke mujh ko chhupa hi logi
ki aaj tak aazma rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
nahin mohabbat ki koi qimat jo koi qimat ada karogi
wafa ki fursat na degi duniya hazar azm-e-wafa karogi
mujhe bahalne do ranj-o-gham se sahaare kab tak diya karogi
junun ko itna na gudgudao, pakaD lun daman to kya karogi
qarib baDhti hi aa rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
Nazm
Tasawwur
Kaifi Azmi