is shahr mein sham hote hi galiyon ke nukkaD par 
saDkon ke kinare zinda-dil log 
aankhon ke kaTore liye khaDe ho jate hain 
aur shaKH-e-gul ki tarah lachakti mahakti laDkiyan 
husn ki KHairaat banTti phirti hain 
KHub-surat tanau-mand bachche 
phulon ki tarah muskuraate 
ek hath mein khilaune 
ek hath mein man ki ungli pakDe hanste-khelte guzarte hain 
mai-kadon mein rind jam par jam lunDhate hain 
gharon mein pakne wale khanon ki KHushbu 
ishtiha ko tez karti hai 
kitna KHub-surat kitna jaan-dar hai wo shahr jise meri band aankhon ke alawa 
kisi aur ne nahin dekha
        Nazm
Tasawwur
Iftikhar Aazmi

