ek hi bistar par leTe hue
kabhi-kabhaar
do jismon ke darmiyan
chand shiknon ka fasla
sadiyon par phail jata hai
us lamhe ke paikar mein
baham paiwast do jismon se
paida hone wala
tisra badan
sari umr
firaq ki ghaDiyan ginte ginte
aaKHir isi zanjire mein
ek nai kaDi ka izafa ban jata hai
aur phir wahi amal
phir wahi zanjira
phir wahi kaDi!
Nazm
Tasalsul
Hasan Abbas Raza