kab se sunsan KHarabon mein paDa tha ye jahan
kab se KHwabida the is wadi-e-KHara ke sanam
kis ko malum ye sadiyon ke pur-asrar bharam
kaun jaane ki ye patthar bhi kabhi the insan
sirf lab-doKHt parbat hain jahan nauha-kunan
na dar-o-baam na diwar o daricha koi
koi dahliz-e-shikasta na harim-e-viran
shahr ke shahr hain patal ke daman mein nihan
kaun pahchanta zulmat hain siyahi ke nishan
jo nazar DhunDne uTThi wo nazar bhi khoi
chashm-e-mahtab bhi shabnam ki jagah KHun roi
ilm ne aaj kurede hain wo zulmat ke Dher
waqt ne jis pe biThae the fana ke pahre
jag uThe sur-e-sarafil se gunge bahre
ta-abad jin ke muqaddar mein thi duniya andher
ye magar azmat-e-insan hai ki taqdir ke pher?
ye imaraat, ye minar, ye gulzar, ye khet
toda-e-KHak se hasti ne liya taza janm
ji uThe wadi-e-KHamosh ke be-jaan sanam
phir koi chirega zarre ka jigar qatra-e-yam
dafn kar dega jo KHaliq ko bhi maKHluq samet
aur ye aabaadiyan ban jaengi phir ret hi ret
Nazm
Tasalsul
Ahmad Faraz