اردو हिंदी
Tarsil | Shaahi Shayari
tarsil

Nazm

Tarsil

Balraj Komal

;

kuchh log ye kahte hain ki achchha ya bura kuchh bhi nahin hai
taqrib-e-wiladat ho ya hangam-e-dam-e-marg

ek lamhe ko taswir mein Dhalna hai wo Dhal jata hai aaKHir
wo naghma ho ya girya ya andaz-e-takallum

sab aks hain asrar-e-fusun-kar ke shayad
yaksan hain mukafat ki yurish mein sabhi rang

sargoshiyan karte hain guzar jate hain aankhon ke jahan se
paimana-e-jaan se

kya jhuT hai kya sach hai kise kaun batae
sab shor-e-salasil mein utar aae hain kuchh soch rahe hain

taswir ke do ruKH the kabhi sunte hain ab lakh hue hain
insan ya haiwan ya be-jaan koi nam nahin hai

ek raqs-e-tamawwuj hai shabihon ka hayyulon ka sadaon ka faramosh dilon ka
is rah se guzre the tumhein rok liya apna samajh kar

baaten bhi huin tum ko zara der ko sine se lagaya
aankhon mein dil o jaan mein basaya

jaoge tumhein jaana hai malum tha mujh ko
sach ye hai ki tanwir-e-mulaqat se raushan tha ye lamha

sach ye hai ki sar-e-rah charagh us ne jalaya
sach ye hai ki be-saKHta jazbaat se raushan tha ye lamha

imroz ye mera tha, magar meri dua hai
ye lamha hum donon ke imkan ka mehwar

kal bhi ye kare donon ko hum donon ko sarshaar munawwar