nok-e-minar pe aTki hui qumri se bhala
kya pata KHak chala
aasman hadd-e-nazar hai ki kamin-gah-e-raqib?
mein batata hun magar apne suKHan bich mein hai
aasman ek kabutar hai ki jis ke KHun ki
pyas mein saikDon uqab uDa karte hain
maut badkar sharabi hai paDosi mera
roz darwaze ke us par jo gir jata hai
zindagi ek chhachhundar hai ki jis ki bad-bu
bu-e-yusuf mein bhi hai girya-e-yaqub mein bhi
ilm circus ke madari ke dahan ka shoala
zaiqa munh ka badalne ko bahut kafi hai
aur mein ek hasin KHwab ki jis mein gum hai
KHwab dekhne wala wo kamin-gah ka raqib
Nazm
Tarkib-e-sarfi
Chaudhary Mohammad Naeem