اردو हिंदी
Tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo | Shaahi Shayari
tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo

Nazm

Tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo

Akhtar Husain Jafri

;

tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
kaam sab ho chuka jo karna tha

bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise
subh tak, aansuon se bharna tha

wo suKHan us ke muddaa mein nahin
mujh ko jis baat se mukarna tha

koi taqsim-e-kar-e-mahr-o-nujum
ya hisab-e-shab-e-nuzul koi

dasht-e-la-hasili ki mahdudat
shahr-e-maharam ka arz o tul koi

kuchh nahin darmiyan jaza na saza
sang, dushnam, dagh, phul koi

us taraf ab ruKH-e-talluq hai
jahan sud-o-ziyan-e-zat nahin

Dar nahin nind TuT jaane ka
pas-e-wada ki ehtiyat nahin

mujh ko jis baat se mukarna tha
us ke dawe mein ab wo baat nahin

bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise
subh tak, aansuon se bharna tha

tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
kaam sab ho chuka jo karna tha