اردو हिंदी
Tark-e-talluq | Shaahi Shayari
tark-e-talluq

Nazm

Tark-e-talluq

Shaz Tamkanat

;

pa-ba-gul raat Dhalegi na sahar aaegi
koi suraj kisi mashriq se na niklega kabhi

reza reza hue mahtab zamane guzre
bujh gae wada-e-mauhum ke sare jugnu

ab koi barq hi chamkegi na abr aaega
chaar-su ghor andhera hai ghana jangal hai

tu kahan jaegi phunkarte sannaTe mein
sarhad-e-yaad-e-guzishta se pare kuchh bhi nahin

dekh israr na kar man bhi le lauT bhi ja
main teri rah ka patthar sahi ye baat to sun

aage khai hai agar rah ka patthar haT jae