اردو हिंदी
Tark-e-mohabbat ke baad | Shaahi Shayari
tark-e-mohabbat ke baad

Nazm

Tark-e-mohabbat ke baad

Ahmad Nadeem Qasmi

;

ghair ki ho ke bhi tum meri mohabbat chaho
is ghaTa-Top andhere mein ye tare kaise

farsh par jis ko abhi tak na mili jae panah
arsh se chand ka aiwan utare kaise

jis ki rahon pe bhaTakte hue jag bite hain
phir usi dasht ko bad-baKHt sudhaare kaise

qafile aae gae gard uThi baiTh gai
ab musafir ko ufuq par se ishaare kaise

jin ki taqdir mein tha daman-e-gulchin ka mazar
wo shagufe to parae hain hamare kaise

pesh kar sakta hun lekin tujhe bahlane ko
chandni-raat mein machle hue ruman ki yaad

bed-e-majnun ke tilismat se pal-pal chhanti
aasmanon ko lapakti hui ek tan ki yaad

meri waraftagi-e-shauq ki sun kar rudad
teri aankhon mein damakte hue arman ki yaad

donon chehron pe shafaq donon jabinon pe araq
donon sinon mein dhaDakte hue haijaan ki yaad

kaun hain aap meri zist ki tanhai sathi
pahli pahchan ki yaad aaKHiri paiman ki yaad